Trump ka boss hona koi nai baat nahi. Jo leader apni awam ke haq mein khara hota hai, usko establishment se dar nahi lagta. Pakistan ya America, establishment ka agenda hamesha apna hota hai, public ka nahi!
Ghussa yeh hai ke jab ek mulk jahan democracy ka sabak diya jata hai, wahan bhi agar establishment apni marzi chalaye, to phir farq kya reh gaya? Awam ko apni power ka ehsaas hona chahiye, warna Trump jese log hamesha aise orders dete rahenge.
Agar Trump illegal orders de sakta hai, to yeh democracy kis qism ka mazak hai? Har mulk mein awam ka haq aur azaadi sab se upar honi chahiye, chahe America ho ya Pakistan.